jaane wo kaise log the jinko pyar se pyar mila
jaane vo kaise log the jin ko pyaar se pyaar milā
ham ne to jab kaliyāñ māñgīñ kāñToñ kā haar milā
ḳhushiyoñ kī manzil DhūñDī to ġham kī gard milī
chāhat ke naġhme chāhe to āh-e-sard milī
dil ke bojh ko duunā kar gayā jo ġham-ḳhvār milā
bichhaḌ gayā har sāthī de kar pal-do-pal kā saath
kis ko fursat hai jo thāme dīvānoñ kā haath
ham ko apnā saaya tak aksar bezār milā
is ko hī jiinā kahte haiñ to yuuñ hī jī leñge
uf na kareñge lab sī leñge aañsū pī leñge
ġham se ab ghabrānā kaisā ġham sau baar milā
jaane wo kaise log the jin ko pyar se pyar mila
hum ne to jab kaliyan mangin kanTon ka haar mila
KHushiyon ki manzil DhunDi to gham ki gard mili
chahat ke naghme chahe to aah-e-sard mili
dil ke bojh ko duna kar gaya jo gham-KHwar mila
bichhaD gaya har sathi de kar pal-do-pal ka sath
kis ko fursat hai jo thame diwanon ka hath
hum ko apna saya tak aksar bezar mila
is ko hi jina kahte hain to yun hi ji lenge
uf na karenge lab si lenge aansu pi lenge
gham se ab ghabrana kaisa gham sau bar mila
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 430)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.