jab bhi ji chahe nai duniya basa lete hain log
jab bhī jī chāhe na.ī duniyā basā lete haiñ log
ek chehre par ka.ī chehre lagā lete haiñ log
yaad rahtā hai kise guzre zamāne kā chalan
sard paḌ jaatī hai chāhat haar jaatī hai lagan
ab mohabbat bhī hai kyā
ik tijārat ke sivā
ham hī nādāñ the jo oḌhā biitī yādoñ kā kafan
varna jiine ke liye sab kuchh bhulā dete haiñ log
jaane vo kyā log the jin ko vafā kā paas thā
dūsre ke dil pe kyā guzregī ye ehsās thā
ab haiñ patthar ke sanam
jin ko ehsās na ġham
vo zamāna ab kahāñ jo ahl-e-dil ko raas thā
ab to matlab ke liye nām-e-vafā lete haiñ log
jab bhi ji chahe nai duniya basa lete hain log
ek chehre par kai chehre laga lete hain log
yaad rahta hai kise guzre zamane ka chalan
sard paD jati hai chahat haar jati hai lagan
ab mohabbat bhi hai kya
ek tijarat ke siwa
hum hi nadan the jo oDha biti yaadon ka kafan
warna jine ke liye sab kuchh bhula dete hain log
jaane wo kya log the jin ko wafa ka pas tha
dusre ke dil pe kya guzregi ye ehsas tha
ab hain patthar ke sanam
jin ko ehsas na gham
wo zamana ab kahan jo ahl-e-dil ko ras tha
ab to matlab ke liye nam-e-wafa lete hain log
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 413)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.