jise tu qubul kar le wo ada kahan se laun
jise to qubūl kar le vo adā kahāñ se lā.ūñ
tire dil ko jo lubhā.e vo sadā kahāñ se lā.ūñ
maiñ vo phuul huuñ ki jis ko gayā har koī masal ke
mirī umr bah ga.ī hai mire āñsuoñ meñ Dhal ke
jo bahār ban ke barse vo ghaTā kahāñ se lā.ūñ
tujhe aur kī tamannā mujhe terī aarzū hai
tire dil meñ ġham hī ġham hai mire dil meñ tū hī tū hai
jo diloñ ko chain de de vo davā kahāñ se lā.ūñ
mirī bebasī hai zāhir mirī āh-e-be-asar se
kabhī maut bhī jo māñgī to na paa.ī us ke dar se
jo murād le ke aa.e vo duā kahāñ se lā.ūñ
jise to qubul kar le wo ada kahan se laun
tere dil ko jo lubhae wo sada kahan se laun
main wo phul hun ki jis ko gaya har koi masal ke
meri umr bah gai hai mere aansuon mein Dhal ke
jo bahaar ban ke barse wo ghaTa kahan se laun
tujhe aur ki tamanna mujhe teri aarzu hai
tere dil mein gham hi gham hai mere dil mein tu hi tu hai
jo dilon ko chain de de wo dawa kahan se laun
meri bebasi hai zahir meri aah-e-be-asar se
kabhi maut bhi jo mangi to na pai us ke dar se
jo murad le ke aae wo dua kahan se laun
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 409)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.