jiyo to aise jiyo jaise sab tumhaara hai
jiyo to aise jiyo jaise sab tumhārā hai
maro to aise ki jaise tumhārā kuchh bhī nahīñ
ye ek raaz ki duniyā na jis ko jaan sakī
yahī vo raaz hai jo zindagī kā hāsil hai
tumhīñ kaho tumheñ ye baat kaise samjhā.ūñ
ki zindagī kī ghuTan zindagī kī qātil hai
har ik nigāh ko qudrat kā ye ishāra hai
jahāñ meñ aa ke jahāñ se khiñche khiñche na raho
vo zindagī hī nahīñ jis meñ aas bujh jaa.e
koī bhī pyaas dabā.e se dab nahīñ saktī
isī se chain milegā ki pyaas bujh jaa.e
ye kah ke muḌtā huā zindagī kā dhārā hai
ye āsmāñ ye zamīñ ye fazā ye nazzāre
taras rahe haiñ tumhārī mirī nazar ke liye
nazar churā ke har ik shai ko yuuñ na Thukrāo
koī sharīk-e-safar DhūñD lo safar ke liye
bahut qarīb se maiñ ne tumheñ pukārā hai
jiyo to aise jiyo jaise sab tumhaara hai
maro to aise ki jaise tumhaara kuchh bhi nahin
ye ek raaz ki duniya na jis ko jaan saki
yahi wo raaz hai jo zindagi ka hasil hai
tumhin kaho tumhein ye baat kaise samjhaun
ki zindagi ki ghuTan zindagi ki qatil hai
har ek nigah ko qudrat ka ye ishaara hai
jahan mein aa ke jahan se khinche khinche na raho
wo zindagi hi nahin jis mein aas bujh jae
koi bhi pyas dabae se dab nahin sakti
isi se chain milega ki pyas bujh jae
ye kah ke muDta hua zindagi ka dhaara hai
ye aasman ye zamin ye faza ye nazzare
taras rahe hain tumhaari meri nazar ke liye
nazar chura ke har ek shai ko yun na Thukrao
koi sharik-e-safar DhunD lo safar ke liye
bahut qarib se main ne tumhein pukara hai
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 373)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.