KHuda kare ki mohabbat mein ye maqam aae
ḳhudā kare ki mohabbat meñ ye maqām aa.e
kisī kā naam luuñ lab pe tumhārā naam aa.e
kuchh is tarah se jiye zindagī basar na huī
tumhāre baa'd kisī raat kī sahar na huī
sahar nazar se mile zulf le ke shaam aa.e
ḳhud apne ghar meñ vo mehmān ban ke aa.e haiñ
sitam to ye hai ki anjām ban ke aa.e haiñ
hamāre dil kī taḌap aaj kuchh to kaam aa.e
vahī hai saaz vahī giit hai vahī manzar
har ek chiiz vahī hai nahīñ ho tum vo magar
usī tarah se nigāheñ uTheñ salām aa.e
KHuda kare ki mohabbat mein ye maqam aae
kisi ka nam lun lab pe tumhaara nam aae
kuchh is tarah se jiye zindagi basar na hui
tumhaare ba'd kisi raat ki sahar na hui
sahar nazar se mile zulf le ke sham aae
KHud apne ghar mein wo mehman ban ke aae hain
sitam to ye hai ki anjam ban ke aae hain
hamare dil ki taDap aaj kuchh to kaam aae
wahi hai saz wahi git hai wahi manzar
har ek chiz wahi hai nahin ho tum wo magar
usi tarah se nigahen uThen salam aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.