main har ek pal ka shair hun
maiñ har ik pal kā shā.ir huuñ
har ik pal mirī kahānī hai
har ik pal merī hastī hai
har ik pal mirī javānī hai
rishtoñ kā ruup badaltā hai
buniyādeñ ḳhatm nahīñ hotīñ
ḳhvāboñ kī aur umañgoñ kī
mī.ādeñ ḳhatm nahīñ hotīñ
har phuul meñ terā ruup basā
har phuul meñ terī javānī hai
ik chehra terī nishānī hai
ik chehra merī nishānī hai
tum ko mujh ko jīvan-amrit
in hāthoñ se hī piinā hai
in kī dhaḌkan meñ basnā hai
in ke sāñsoñ meñ jiinā hai
tū apnī adā.eñ baḳhsh inheñ
maiñ apnī vafā.eñ detā huuñ
jo apne liye sochī thī kabhī
vo saarī duā.eñ detā huuñ
main har ek pal ka shair hun
har ek pal meri kahani hai
har ek pal meri hasti hai
har ek pal meri jawani hai
rishton ka rup badalta hai
buniyaaden KHatm nahin hotin
KHwabon ki aur umangon ki
miaden KHatm nahin hotin
har phul mein tera rup basa
har phul mein teri jawani hai
ek chehra teri nishani hai
ek chehra meri nishani hai
tum ko mujh ko jiwan-amrit
in hathon se hi pina hai
in ki dhaDkan mein basna hai
in ke sanson mein jina hai
tu apni adaen baKHsh inhen
main apni wafaen deta hun
jo apne liye sochi thi kabhi
wo sari duaen deta hun
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 333)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.