maine shayad tumhein pahle bhi kahen dekha hai
maiñ ne shāyad tumheñ pahle bhī kahīñ dekhā hai
ajnabī sī ho magar ġhair nahīñ lagtī ho
vahm se bhī jo ho nāzuk vo yaqīñ lagtī ho
haa.e ye phuul sā chehra ye ghanerī zulfeñ
mere sheroñ se bhī tum mujh ko hasīñ lagtī ho
maiñ ne shāyad tumheñ pahle bhī kahīñ dekhā hai
dekh kar tum ko kisī raat kī yaad aatī hai
ek ḳhāmosh mulāqāt kī yaad aatī hai
zehn meñ husn kī ThanDak kā asar jāgtā hai
aañch detī huī barsāt kī yaad aatī hai
maiñ ne shāyad tumheñ pahle bhī kahīñ dekhā hai
mirī āñkhoñ pe jhukī rahtī haiñ palkeñ jis kī
tum vahī mere ḳhayāloñ kī parī ho ki nahīñ
kahīñ pahle kī tarah phir to na kho jāogī
jo hamesha ke liye ho vo ḳhushī ho ki nahīñ
maiñ ne shāyad tumheñ pahle bhī kahīñ dekhā hai
main ne shayad tumhein pahle bhi kahin dekha hai
ajnabi si ho magar ghair nahin lagti ho
wahm se bhi jo ho nazuk wo yaqin lagti ho
hae ye phul sa chehra ye ghaneri zulfen
mere sheron se bhi tum mujh ko hasin lagti ho
main ne shayad tumhein pahle bhi kahin dekha hai
dekh kar tum ko kisi raat ki yaad aati hai
ek KHamosh mulaqat ki yaad aati hai
zehn mein husn ki ThanDak ka asar jagta hai
aanch deti hui barsat ki yaad aati hai
main ne shayad tumhein pahle bhi kahin dekha hai
meri aankhon pe jhuki rahti hain palken jis ki
tum wahi mere KHayalon ki pari ho ki nahin
kahin pahle ki tarah phir to na kho jaogi
jo hamesha ke liye ho wo KHushi ho ki nahin
main ne shayad tumhein pahle bhi kahin dekha hai
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 281)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.