main ye kahti hun ki kis roz huzur aaenge
maiñ ye kahtī huuñ ki kis roz huzūr ā.eñge
dil ye kahtā hai ki ik din vo zarūr ā.eñge
intizār aur abhī aur abhī aur abhī
saañs kī laalī sulag sulag kar ban ga.ī kaalī dhuul
aa.e na bālam bedardī maiñ chuntī rah ga.ī dhuul
intizār aur abhī aur abhī aur abhī
rain ga.ī bojhal akhiyan meñ chubhne laage taare
des meñ maiñ pardesan ho ga.ī jab se piyā sidhāre
intizār aur abhī aur abhī aur abhī
bhor bha.ī par koī na aayā suunī sej sajāne
taare Duube dīpak bujh ga.e raakh hue parvāne
intizār aur abhī aur abhī aur abhī
main ye kahti hun ki kis roz huzur aaenge
dil ye kahta hai ki ek din wo zarur aaenge
intizar aur abhi aur abhi aur abhi
sans ki lali sulag sulag kar ban gai kali dhul
aae na baalam bedardi main chunti rah gai dhul
intizar aur abhi aur abhi aur abhi
rain gai bojhal akhiyan mein chubhne lage tare
des mein main pardesan ho gai jab se piya sidhaare
intizar aur abhi aur abhi aur abhi
bhor bhai par koi na aaya suni sej sajaane
tare Dube dipak bujh gae rakh hue parwane
intizar aur abhi aur abhi aur abhi
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.