man-piDa anjaan hai humse
man-pīḌā anjān hai ham se
man-pīḌā anjān
koī nahīñ pahchān hai ham se
koī nahīñ pahchān
hamre kalī kalī añsūvan kī
palkoñ par muskā.e
kaarī rainā kā sannāTā
tumhrā kajrā ho jaa.e
kyā jāneñ birhā-rut hamrī kab tak hai mehmān
man-pīḌā anjān hai ham se
man-pīḌā anjān
pat-chhaḌ ke sho.aloñ meñ sulge
phūloñ kī tahrīr
kab tak saañs ke darvāze par
aahoñ kī zanjīr
kab tak sog kī agan jalā.e hamrī nannhī jaan
man-pīḌā anjān hai ham se
man-pīḌā anjān
tumhrī yaad kā mausam nis din
man-upban mahkā.e
mukhḌā tumhrā chāñd sunahrā
soch gagan lahrā.e
'rāhī' bin tumhre phir bhī hai jīvan maut samān
man-pīḌā anjān hai ham se
man-pīḌā anjān
man-piDa anjaan hai hum se
man-piDa anjaan
koi nahin pahchan hai hum se
koi nahin pahchan
hamre kali kali ansuwan ki
palkon par muskae
kari raina ka sannaTa
tumhra kajra ho jae
kya jaanen birha-rut hamri kab tak hai mehman
man-piDa anjaan hai hum se
man-piDa anjaan
pat-chhaD ke shoalon mein sulge
phulon ki tahrir
kab tak sans ke darwaze par
aahon ki zanjir
kab tak sog ki agan jalae hamri nannhi jaan
man-piDa anjaan hai hum se
man-piDa anjaan
tumhri yaad ka mausam nis din
man-upban mahkae
mukhDa tumhra chand sunahra
soch gagan lahrae
'rahi' bin tumhre phir bhi hai jiwan maut saman
man-piDa anjaan hai hum se
man-piDa anjaan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.