maut kabhi bhi mil sakti hai lekin jiwan kal na milega
maut kabhi bhi mil sakti hai lekin jiwan kal na milega
Sahir Ludhianvi
MORE BYSahir Ludhianvi
maut kabhī bhī mil saktī hai lekin jīvan kal na milegā
marne vaale soch samajh le phir tujh ko ye pal na milegā
kaun sā aisā dil hai jahāñ meñ jis ko ġham kā rog nahīñ
kaun sā aisā ghar hai jis meñ sukh hī sukh hai sog nahīñ
jo hal duniyā bhar ko milā hai kyuuñ tujh ko vo hal na milegā
marne vaale soch samajh le phir tujh ko ye pal na milegā
is jīvan meñ kitne hī dukh hoñ lekin sukh kī aas to hai
dil meñ koī armān basā hai aañkh meñ koī pyaas to hai
jīvan ne ye phal to diyā hai maut se ye bhī phal na milegā
marne vaale soch samajh le phir tujh ko ye pal na milegā
maut kabhi bhi mil sakti hai lekin jiwan kal na milega
marne wale soch samajh le phir tujh ko ye pal na milega
kaun sa aisa dil hai jahan mein jis ko gham ka rog nahin
kaun sa aisa ghar hai jis mein sukh hi sukh hai sog nahin
jo hal duniya bhar ko mila hai kyun tujh ko wo hal na milega
marne wale soch samajh le phir tujh ko ye pal na milega
is jiwan mein kitne hi dukh hon lekin sukh ki aas to hai
dil mein koi arman basa hai aankh mein koi pyas to hai
jiwan ne ye phal to diya hai maut se ye bhi phal na milega
marne wale soch samajh le phir tujh ko ye pal na milega
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 377)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.