mujhe bhul na jaana
miltī hai gale sub.h se ye raat suhānī
ruḳhsat huī jaatī hai sitāroñ kī javānī
ab tum bhī sidhāro mirī ummīd kī raanī
lekin zarā is rasm-e-mohabbat ko nibhānā
mujhe bhuul na jaanā
mumkin hai ki duniyā kī tarab-nāk havā.eñ
mumkin hai ki māhaul kī rangīn fazā.eñ
tum ko mirī zanjīr-e-mohabbat se chhuḌā.eñ
lekin mirī ulfat kā diyā tum na bujhānā
mujhe bhuul na jaanā
mumkin hai ki phir ho na sake tum se mulāqāt
mumkin hai ki phir aa na sake utnī hasīñ raat
lekin na bhulānā kabhī jo maiñ ne kahī baat
tadbīr ke hāthoñ meñ hai taqdīr banānā
mujhe bhuul na jaanā
jab chāñd kī sanjogtā sar apnā jhukā.e
jay-māl sitāroñ kā liye haath meñ aa.e
tab tum ko bhī ai kaash mirī yaad satā.e
tum bhī mujhe ik haar tasavvur meñ pahnānā
mujhe bhuul na jaanā
jab nahr ke ā.īne meñ nāhīd kī padman
jugnū ke alaa.ī ko dikhā.e ruḳh-e-raushan
tab tum bhī haTā ke dar-e-ummīd se chilman
aks apnā mire ā.ina-e-dil meñ dikhānā
mujhe bhuul na jaanā
zarrīñ hai 'salām' aaj kā iqrār-e-mohabbat
yā-rab raheñ dil donoñ ke sarshār-e-mohabbat
tā-hashr mahaktā rahe gulzār-e-mohabbat
zinda rahe ham donoñ kī ulfat kā fasāna
mujhe bhuul na jaanā
milti hai gale subh se ye raat suhani
ruKHsat hui jati hai sitaron ki jawani
ab tum bhi sidhaaro meri ummid ki rani
lekin zara is rasm-e-mohabbat ko nibhana
mujhe bhul na jaana
mumkin hai ki duniya ki tarab-nak hawaen
mumkin hai ki mahaul ki rangin fazaen
tum ko meri zanjir-e-mohabbat se chhuDaen
lekin meri ulfat ka diya tum na bujhana
mujhe bhul na jaana
mumkin hai ki phir ho na sake tum se mulaqat
mumkin hai ki phir aa na sake utni hasin raat
lekin na bhulana kabhi jo main ne kahi baat
tadbir ke hathon mein hai taqdir banana
mujhe bhul na jaana
jab chand ki sanjogta sar apna jhukae
jay-mal sitaron ka liye hath mein aae
tab tum ko bhi ai kash meri yaad satae
tum bhi mujhe ek haar tasawwur mein pahnana
mujhe bhul na jaana
jab nahr ke aaine mein nahid ki padman
jugnu ke alai ko dikhae ruKH-e-raushan
tab tum bhi haTa ke dar-e-ummid se chilman
aks apna mere aaina-e-dil mein dikhana
mujhe bhul na jaana
zarrin hai 'salam' aaj ka iqrar-e-mohabbat
ya-rab rahen dil donon ke sarshaar-e-mohabbat
ta-hashr mahakta rahe gulzar-e-mohabbat
zinda rahe hum donon ki ulfat ka fasana
mujhe bhul na jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.