mujhe dard-e-dil ka pata na tha
Interesting Fact
This Geet was used in film 'Aakash Deep' (1965) and was composed by Chitragupt.
mujhe dard-e-dil kā pata na thā
mujhe aap kis liye mil ga.e
maiñ akele yūñhī maze meñ thā
mujhe aap kis liye mil ga.e
yūñhī apne apne safar meñ gum
kahīñ duur maiñ kahīñ duur tum
chale jā rahe the judā judā
mujhe aap kis liye mil ga.e
na maiñ chāñd huuñ kisī shaam kā
na charāġh huuñ kisī baam kā
maiñ to rāste kā huuñ ik diyā
mujhe aap kis liye mil ga.e
mujhe dard-e-dil kā pata na thā
mujhe aap kis liye mil ga.e
mujhe dard-e-dil ka pata na tha
mujhe aap kis liye mil gae
main akele yunhi maze mein tha
mujhe aap kis liye mil gae
yunhi apne apne safar mein gum
kahin dur main kahin dur tum
chale ja rahe the juda juda
mujhe aap kis liye mil gae
na main chand hun kisi sham ka
na charagh hun kisi baam ka
main to raste ka hun ek diya
mujhe aap kis liye mil gae
mujhe dard-e-dil ka pata na tha
mujhe aap kis liye mil gae
- Book : Kulliyat-e-Majrooh Sultanpuri (Pg. 186)
- Author : Majrooh sultanpri
- Publication : Alhamd Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.