nahin kiya to kar ke dekh
nahīñ kiyā to kar ke dekh
tū bhī kisī pe mar ke dekh
husn ke bikhre phūloñ se
dil kī jholī bhar ke dekh
kaun tujhe kyā kahtā hai
kyuuñ us kā ġham sahtā hai
kutte bhūñkte rahte haiñ
qāfila chaltā rahtā hai
kabhī apne man kī kar ke dekh
rahtīñ rasmeñ toḌ bhī de
dil ko akelā chhoḌ bhī de
duniyā dil kī dushman hai
duniyā kā muñh moḌ bhī de
kuchh to anokhā kar ke dekh
ek rasta hai daulat kā
dūsrā aish-o-ishrat kā
tīsrā jhūTī izzat kā
chauthā sachchī ulfat kā
is raste se guzar ke dekh
nahin kiya to kar ke dekh
tu bhi kisi pe mar ke dekh
husn ke bikhre phulon se
dil ki jholi bhar ke dekh
kaun tujhe kya kahta hai
kyun us ka gham sahta hai
kutte bhunkte rahte hain
qafila chalta rahta hai
kabhi apne man ki kar ke dekh
rahtin rasmen toD bhi de
dil ko akela chhoD bhi de
duniya dil ki dushman hai
duniya ka munh moD bhi de
kuchh to anokha kar ke dekh
ek rasta hai daulat ka
dusra aish-o-ishrat ka
tisra jhuTi izzat ka
chautha sachchi ulfat ka
is raste se guzar ke dekh
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 361)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.