nainon pe bas na chale
nainoñ pe bas na chale
ghūñghaT meñ gorī jale
gorī ko bhaa.e na din kā ujālā
palkeñ piro.eñ sitāroñ kī maalā
suunā rahe us ke man kā shivālā
jab tak na sūraj Dhale
ghūñghaT meñ gorī jale
dil ne sunī aaj dil kī kahānī
nācheñ umañgeñ to gaa.e javānī
baiThī hai chup-chāp sajariyā pe raanī
hāthoñ pe mehñdī male
ghūñghaT meñ gorī jale
albele nindiyā se dāman bachānā
añgḌā.ī le ke sajariyā pe jaanā
dhīre se gorī kā ghūñghaT uThānā
tāroñ kī chhayāñ tale
ghūñghaT meñ gorī jale
nainon pe bas na chale
ghunghaT mein gori jale
gori ko bhae na din ka ujala
palken piroen sitaron ki mala
suna rahe us ke man ka shiwala
jab tak na suraj Dhale
ghunghaT mein gori jale
dil ne suni aaj dil ki kahani
nachen umangen to gae jawani
baiThi hai chup-chap sajariya pe rani
hathon pe mehndi male
ghunghaT mein gori jale
albele nindiya se daman bachana
angDai le ke sajariya pe jaana
dhire se gori ka ghunghaT uThana
taron ki chhayan tale
ghunghaT mein gori jale
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 164)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.