raat ke rahi thak mat jaana subh ki manzil dur nahin
raat ke raahī thak mat jaanā sub.h kī manzil duur nahīñ
dhartī ke phaile āñgan meñ pal-do-pal hai raat kā Derā
zulm kā siina chiir ke dekho jhāñk rahā hai nayā saverā
Dhaltā din majbūr sahī chaḌhtā sūraj majbūr nahīñ
sadiyoñ tak chup rahne vaale ab apnā haq le ke raheñge
jo karnā hai khul ke kareñge jo kahnā hai saaf kaheñge
jiite jī ghuT ghuT kar marnā is yug kā dastūr nahīñ
TūTeñgī bojhal zanjīreñ jāgeñgī sotī taqdīreñ
luuT pe kab tak pahrā deñgī zañg lagī ḳhūnīñ zanjīreñ
rah nahīñ saktā is duniyā meñ jo sab ko manzūr nahīñ
raat ke rahi thak mat jaana subh ki manzil dur nahin
dharti ke phaile aangan mein pal-do-pal hai raat ka Dera
zulm ka sina chir ke dekho jhank raha hai naya sawera
Dhalta din majbur sahi chaDhta suraj majbur nahin
sadiyon tak chup rahne wale ab apna haq le ke rahenge
jo karna hai khul ke karenge jo kahna hai saf kahenge
jite ji ghuT ghuT kar marna is yug ka dastur nahin
TuTengi bojhal zanjiren jagengi soti taqdiren
luT pe kab tak pahra dengi zang lagi KHunin zanjiren
rah nahin sakta is duniya mein jo sab ko manzur nahin
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 345)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.