rang aur nur ki baraat kise pesh karun
rang aur nuur kī bārāt kise pesh karūñ
ye murādoñ kī hasīñ raat kise pesh karūñ
maiñ ne jazbāt nibhā.e haiñ usūloñ kī jagah
apne armān piro laayā huuñ phūloñ kī jagah
tere sehre kī ye sauġhāt kise pesh karūñ
ye mere sher mire āḳhirī nazrāne haiñ
maiñ un apnoñ meñ huuñ jo aaj se begāne haiñ
be-ta.alluq sī mulāqāt kise pesh karūñ
surḳh joḌe kī tab-o-tāb mubārak ho tujhe
terī āñkhoñ kā nayā ḳhvāb mubārak ho tujhe
maiñ ye ḳhvāhish ye ḳhayālāt kise pesh karūñ
kaun kahtā hai ki chāhat pe sabhī kā haq hai
tū jise chāhe tirā pyaar usī kā haq hai
mujh se kah de maiñ tirā haat kise pesh karūñ
rang aur nur ki baraat kise pesh karun
ye muradon ki hasin raat kise pesh karun
main ne jazbaat nibhae hain usulon ki jagah
apne arman piro laya hun phulon ki jagah
tere sehre ki ye saughat kise pesh karun
ye mere sher mere aaKHiri nazrane hain
main un apnon mein hun jo aaj se begane hain
be-talluq si mulaqat kise pesh karun
surKH joDe ki tab-o-tab mubarak ho tujhe
teri aankhon ka naya KHwab mubarak ho tujhe
main ye KHwahish ye KHayalat kise pesh karun
kaun kahta hai ki chahat pe sabhi ka haq hai
tu jise chahe tera pyar usi ka haq hai
mujh se kah de main tera hat kise pesh karun
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 352)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.