sathi hath baDhana
ek akelā thak jā.egā mil kar bojh uThānā
sāthī haath baḌhānā
ham mehnat vāloñ ne jab bhī mil kar qadam baḌhāyā
sāgar ne rasta chhoḌā parbat ne siis jhukāyā
faulādī haiñ siine apne faulādī haiñ bāñheñ
ham chāheñ to paidā kar deñ chaTTānoñ meñ rāheñ
sāthī haath baḌhānā
mehnat apne lekh kī rekhā mehnat se kyā Darnā
kal ġhairoñ kī ḳhātir kī aaj apnī ḳhātir karnā
apnā dukh bhī ek hai sāthī apnā sukh bhī ek
apnī manzil sach kī manzil apnā rasta nek
sāthī haath baḌhānā
ek se ek mile to qatra ban jaatā hai dariyā
ek se ek mile to zarra ban jaatā hai sahrā
ek se ek mile to raa.ī ban saktī hai parbat
sāthī haath baḌhānā
maaTī se ham laal nikāleñ motī laa.eñ jal se
jo kuchh is duniyā meñ banā hai banā hamāre bal se
kab tak mehnat ke pairoñ meñ daulat kī zanjīreñ
haath baḌhā kar chhīn lo apne ḳhvāboñ kī ta.abīreñ
sāthī haath baḌhānā
ek akela thak jaega mil kar bojh uThana
sathi hath baDhana
hum mehnat walon ne jab bhi mil kar qadam baDhaya
sagar ne rasta chhoDa parbat ne sis jhukaya
fauladi hain sine apne fauladi hain banhen
hum chahen to paida kar den chaTTanon mein rahen
sathi hath baDhana
mehnat apne lekh ki rekha mehnat se kya Darna
kal ghairon ki KHatir ki aaj apni KHatir karna
apna dukh bhi ek hai sathi apna sukh bhi ek
apni manzil sach ki manzil apna rasta nek
sathi hath baDhana
ek se ek mile to qatra ban jata hai dariya
ek se ek mile to zarra ban jata hai sahra
ek se ek mile to rai ban sakti hai parbat
sathi hath baDhana
maTi se hum lal nikalen moti laen jal se
jo kuchh is duniya mein bana hai bana hamare bal se
kab tak mehnat ke pairon mein daulat ki zanjiren
hath baDha kar chhin lo apne KHwabon ki tabiren
sathi hath baDhana
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 337)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.