sher ka husn ho naghmon ki jawani ho tum
sher kā husn ho naġhmoñ kī javānī ho tum
ik dhaḌaktī huī shādāb kahānī ho tum
aañkh aisī ki kañval tum se nishānī māñge
zulf aisī ki ghaTā sharm se paanī māñge
jis taraf se bhī nazar Daalo suhānī ho tum
jism aisā ki ajantā kā amal yaad aa.e
sañg-e-marmar meñ Dhalā tāj-mahal yaad aa.e
pighle pighle hue rañgoñ kī javānī ho tum
sher kā husn ho naġhmoñ kī javānī ho tum
sher ka husn ho naghmon ki jawani ho tum
ek dhaDakti hui shadab kahani ho tum
aankh aisi ki kanwal tum se nishani mange
zulf aisi ki ghaTa sharm se pani mange
jis taraf se bhi nazar Dalo suhani ho tum
jism aisa ki ajanta ka amal yaad aae
sang-e-marmar mein Dhala taj-mahal yaad aae
pighle pighle hue rangon ki jawani ho tum
sher ka husn ho naghmon ki jawani ho tum
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 299)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.