surmai raat hai sitare hain
surma.ī raat hai sitāre haiñ
aaj donoñ jahāñ hamāre haiñ
sub.h kā intizār kaun kare
phir ye rut ye samāñ mile na mile
aarzū kā chaman khile na khile
vaqt kā e'tibār kaun kare
le bhī lo ham ko apnī bāñhoñ meñ
ruuh bechain hai nigāhoñ meñ
iltijā baar baar kaun kare
surmai raat hai sitare hain
aaj donon jahan hamare hain
subh ka intizar kaun kare
phir ye rut ye saman mile na mile
aarzu ka chaman khile na khile
waqt ka e'tibar kaun kare
le bhi lo hum ko apni banhon mein
ruh bechain hai nigahon mein
iltija bar bar kaun kare
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 309)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.