wo jo milte the kabhi humse diwanon ki tarah
Interesting Fact
This geet was used in film 'Akeli Mat jaaiyo', composed by Madan Mohan. The film was released in 1963.
vo jo milte the kabhī ham se divānoñ kī tarah
aaj yuuñ milte haiñ jaise kabhī pahchān na thī
vo jo milte the kabhī ham se divānoñ kī tarah
dekhte bhī haiñ to yuuñ merī nigāhoñ meñ kabhī
ajnabī jaise milā karte haiñ rāhoñ meñ kabhī
is qadar un kī nazar ham se to anjān na thī
vo jo milte the kabhī ham se divānoñ kī tarah
ek din thā kabhī yūñhī jo machal jaate the
khelte the mirī zulfoñ se bahal jaate the
vo pareshāñ the mirī zulf pareshān na thī
vo jo milte the kabhī ham se divānoñ kī tarah
vo mohabbat vo sharārat mujhe yaad aatī hai
dil meñ ik pyaar kā tūfān uThā jaatī hai
thī magar aisī to uljhan meñ mirī jaan na thī
vo jo milte the kabhī ham se divānoñ kī tarah
wo jo milte the kabhi hum se diwanon ki tarah
aaj yun milte hain jaise kabhi pahchan na thi
wo jo milte the kabhi hum se diwanon ki tarah
dekhte bhi hain to yun meri nigahon mein kabhi
ajnabi jaise mila karte hain rahon mein kabhi
is qadar un ki nazar hum se to anjaan na thi
wo jo milte the kabhi hum se diwanon ki tarah
ek din tha kabhi yunhi jo machal jate the
khelte the meri zulfon se bahal jate the
wo pareshan the meri zulf pareshan na thi
wo jo milte the kabhi hum se diwanon ki tarah
wo mohabbat wo shararat mujhe yaad aati hai
dil mein ek pyar ka tufan uTha jati hai
thi magar aisi to uljhan mein meri jaan na thi
wo jo milte the kabhi hum se diwanon ki tarah
- Book : Kulliyat-e-Majrooh Sultanpuri (Pg. 272)
- Author : Majrooh sultanpri
- Publication : Alhamd Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.