wo na aae na sukh sath lae yahan
vo na aa.e sukh saath laa.e yahāñ
vo na aa.e
chāñd kī jot jaltī thī jaltī rahī
raat shāḳhoñ kī aahoñ meñ chup-chāp Dhaltī rahī
jī Darāte rahe kaale saa.e yahāñ
vo na aa.e
phuul ambar ke chuntī rahī baar baar
maiñ pirotī rahī apnī āñkhoñ meñ tāroñ ke haar
os ke kitne motī bichhā.e yahāñ
vo na aa.e
gopiyoñ meñ mahārāj hoñge kahīñ
yā kisī shoḳh rādhā ke saath aaj hoñge kahīñ
un kī bātoñ ke sapne hī chhā.e yahāñ
vo na aa.e
bhor ab mujh pe hañstī huī aa.egī
har kalī mahke manDal kī murjhā ke gir jā.egī
chāñd Duube to jī Duub jaa.e yahāñ
vo na aa.e
wo na aae sukh sath lae yahan
wo na aae
chand ki jot jalti thi jalti rahi
raat shaKHon ki aahon mein chup-chap Dhalti rahi
ji Daraate rahe kale sae yahan
wo na aae
phul ambar ke chunti rahi bar bar
main piroti rahi apni aankhon mein taron ke haar
os ke kitne moti bichhae yahan
wo na aae
gopiyon mein mahaaraj honge kahin
ya kisi shoKH radha ke sath aaj honge kahin
un ki baaton ke sapne hi chhae yahan
wo na aae
bhor ab mujh pe hansti hui aaegi
har kali mahke manDal ki murjha ke gir jaegi
chand Dube to ji Dub jae yahan
wo na aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.