ye duniya do-rangi hai
ye duniyā do-rañgī hai
ek taraf se resham oḌhe ek taraf se nañgī hai
ek taraf andhī daulat kī pāgal aish-parastī
ek taraf jismoñ kī qīmat roTī se bhī sastī
ek taraf hai sonāgāchī ek taraf chaurangī hai
ye duniyā do rañgī hai
aadhe muñh par nuur barastā aadhe muñh par chīre
aadhe tan par koḌh ke dhabbe aadhe tan par hiire
aadhe ghar meñ ḳhush-hālī hai aadhe ghar meñ tañgī hai
ye duniyā do-rañgī hai
māthe uupar mukuT sajā.e sar par Dho.e gañdā
daa.eñ haath se bhikshā māñge baa.eñ se de chandā
ek taraf bhanDār chalā.e ek taraf bhik-mañgī hai
ye duniyā do-rañgī hai
ik sañgam par laanī hogī dukh aur sukh kī dhārā
na.e sire se karnā hogā daulat kā baTvārā
jab tak uuñch aur niich hai baaqī har sūrat be-Dhañgī hai
ye duniyā do-rañgī hai
ye duniya do-rangi hai
ek taraf se resham oDhe ek taraf se nangi hai
ek taraf andhi daulat ki pagal aish-parasti
ek taraf jismon ki qimat roTi se bhi sasti
ek taraf hai sonagachi ek taraf chaurangi hai
ye duniya do rangi hai
aadhe munh par nur barasta aadhe munh par chire
aadhe tan par koDh ke dhabbe aadhe tan par hire
aadhe ghar mein KHush-haali hai aadhe ghar mein tangi hai
ye duniya do-rangi hai
mathe upar mukuT sajae sar par Dhoe ganda
daen hath se bhiksha mange baen se de chanda
ek taraf bhanDar chalae ek taraf bhik-mangi hai
ye duniya do-rangi hai
ek sangam par lani hogi dukh aur sukh ki dhaara
nae sire se karna hoga daulat ka baTwara
jab tak unch aur nich hai baqi har surat be-Dhangi hai
ye duniya do-rangi hai
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 462)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.