Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye taron bhari raat ye chhup chhup ke mulaqat hamein yaad rahegi

Qateel Shifai

ye taron bhari raat ye chhup chhup ke mulaqat hamein yaad rahegi

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    ye tāroñ bharī raat ye chhup chhup ke mulāqāt hameñ yaad rahegī

    ye tāroñ bharī raat hameñ yaad rahegī

    gaate hue lamhāt meñ phūloñ ye barsāt hameñ yaad rahegī

    ye tāroñ bharī raat hameñ yaad rahegī

    is raat ne dikhlā.ī hameñ pyaar manzil

    ghul-mil ke dhaḌakte haiñ mohabbat bhare do dil

    machle hue jazbāt meñ Duubī huī har baat hameñ yaad rahegī

    qadmoñ meñ bichhe jaate haiñ chāñd aur sitāre

    saath apne chale aate haiñ chāñd aur sitāre

    mahkī huī ye raat kirnoñ ye barsāt hameñ yaad rahegī

    betāb nigāhoñ ne tumheñ pyaar kiyā hai

    mil kar na judā hoñge ye iqrār kiyā hai

    hāthoñ meñ liye haath kahī tum ne jo ik baat hameñ yaad rahegī

    ye tāroñ bharī raat hameñ yaad rahegī

    ye taron bhari raat ye chhup chhup ke mulaqat hamein yaad rahegi

    ye taron bhari raat hamein yaad rahegi

    gate hue lamhat mein phulon ki ye barsat hamein yaad rahegi

    ye taron bhari raat hamein yaad rahegi

    is raat ne dikhlai hamein pyar ki manzil

    ghul-mil ke dhaDakte hain mohabbat bhare do dil

    machle hue jazbaat mein Dubi hui har baat hamein yaad rahegi

    qadmon mein bichhe jate hain chand aur sitare

    sath apne chale aate hain chand aur sitare

    mahki hui ye raat kirnon ki ye barsat hamein yaad rahegi

    betab nigahon ne tumhein pyar kiya hai

    mil kar na juda honge ye iqrar kiya hai

    hathon mein liye hath kahi tum ne jo ek baat hamein yaad rahegi

    ye taron bhari raat hamein yaad rahegi

    Source :
    • Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 161)
    • Author : Qateel Shifai
    • Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
    • Edition : 2011

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now