bikhar hi jaunga main bhi hawa udasi hai
bikhar hī jā.ūñgā maiñ bhī havā udāsī hai
fanā-nasīb har ik silsila udāsī hai
bichhaḌ na jaa.e kahīñ tū safar añdheroñ meñ
tire baġhair har ik rāstā udāsī hai
batā rahā hai jo rasta zamīñ dishāoñ ko
hamāre ghar kā vo raushan diyā udāsī hai
udaas lamhoñ ne kuchh aur kar diyā hai udaas
tire baġhair to saarī fazā udāsī hai
kahīñ zarūr ḳhudā ko mirī zarūrat hai
jo aa rahī hai falak se sadā udāsī hai
bikhar hi jaunga main bhi hawa udasi hai
fana-nasib har ek silsila udasi hai
bichhaD na jae kahin tu safar andheron mein
tere baghair har ek rasta udasi hai
bata raha hai jo rasta zamin dishaon ko
hamare ghar ka wo raushan diya udasi hai
udas lamhon ne kuchh aur kar diya hai udas
tere baghair to sari faza udasi hai
kahin zarur KHuda ko meri zarurat hai
jo aa rahi hai falak se sada udasi hai
- Book : Aiwan (Pg. 21)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.