hangama-ha-e-baada-o-paimana dekh kar
hangāma-hā-e-bāda-o-paimāna dekh kar
ham ruk ga.e haiñ raah meñ mai-ḳhāna dekh kar
bā-ehtirām sāġhar-o-mīnā baḌhā diye
saaqī ne merī jur.at-e-rindāna dekh kar
phir yaad aa ga.ī hai tirī chashm-e-mai-farosh
mahfil meñ raqs-e-bāda-o-paimāna dekh kar
hairāñ huuñ un ke dīda-e-hairāñ ko kyā kahūñ
dīvāne ho ga.e mujhe dīvāna dekh kar
tauba kā ehtirām bhī lāzim rahā magar
niyyat badal ga.ī mirī paimāna dekh kar
har āstāñ se garche rahe be-niyāz ham
sajde meñ gir ga.e dar-e-mai-ḳhāna dekh kar
hangama-ha-e-baada-o-paimana dekh kar
hum ruk gae hain rah mein mai-KHana dekh kar
ba-ehtiram saghar-o-mina baDha diye
saqi ne meri jurat-e-rindana dekh kar
phir yaad aa gai hai teri chashm-e-mai-farosh
mahfil mein raqs-e-baada-o-paimana dekh kar
hairan hun un ke dida-e-hairan ko kya kahun
diwane ho gae mujhe diwana dekh kar
tauba ka ehtiram bhi lazim raha magar
niyyat badal gai meri paimana dekh kar
har aastan se garche rahe be-niyaz hum
sajde mein gir gae dar-e-mai-KHana dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.