a bulbul-e-KHush-lahn ye shirin suKHani dekh
a bulbul-e-ḳhush-lahn ye shīrīñ suḳhanī dekh
sad-rañg-e-qabā dekh mirī gul-badanī dekh
har mauj-e-sabā par bhī lachak jaa.e hai ai hai
ai shāḳh-e-gul-andām ye gul-rez-tanī dekh
dil kuufa kī mānind huā jaatā hai yārab
a mamba-e-rahmat za-nigāh-e-madanī dekh
vāqif hī nahīñ tū mirī tārīḳh se nāqid
ik baar palaT kar kabhī ḳhalq-e-hasnī dekh
dil lagtā hai bāhar se jo bosīda makāñ sā
dāḳhil to kabhī ho ke ye qasr-e-adnī dekh
a bulbul-e-KHush-lahn ye shirin suKHani dekh
sad-rang-e-qaba dekh meri gul-badani dekh
har mauj-e-saba par bhi lachak jae hai ai hai
ai shaKH-e-gul-andam ye gul-rez-tani dekh
dil kufa ki manind hua jata hai yarab
a mamba-e-rahmat za-nigah-e-madani dekh
waqif hi nahin tu meri tariKH se naqid
ek bar palaT kar kabhi KHalq-e-hasni dekh
dil lagta hai bahar se jo bosida makan sa
daKHil to kabhi ho ke ye qasr-e-adni dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.