mauj-e-KHun sar se guzarti hai guzar jaane do
mauj-e-ḳhūñ sar se guzartī hai guzar jaane do
kahīñ ye gardish-e-ayyām Thahar jaane do
uThne vaalī hai koī dam meñ sitāroñ kī bisāt
aur kuchh der kā nashsha hai utar jaane do
raah meñ rok ke ahvāl na pūchho ham se
abhī baaqī hai bahut apnā safar jaane do
abhī hañgām nahīñ raah meñ dam lene kā
abhī ye qāfil-e-ahl-e-nazar jaane do
lab pe aa aa ke rahī jaatī haiñ kitnī bāteñ
hameñ kahnā to bahut kuchh hai magar jaane do
mauj-e-KHun sar se guzarti hai guzar jaane do
kahin ye gardish-e-ayyam Thahar jaane do
uThne wali hai koi dam mein sitaron ki bisat
aur kuchh der ka nashsha hai utar jaane do
rah mein rok ke ahwal na puchho hum se
abhi baqi hai bahut apna safar jaane do
abhi hangam nahin rah mein dam lene ka
abhi ye qafil-e-ahl-e-nazar jaane do
lab pe aa aa ke rahi jati hain kitni baaten
hamein kahna to bahut kuchh hai magar jaane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.