aa aur har ek lutf-o-inayat ke liye aa
aa aur har ik lutf-o-ināyat ke liye aa
tanhā.iyoñ meñ merī rifāqat ke liye aa
le kar nigah-e-nāz kā har nashtar-e-sar-tez
dil par mire ik taaza jarāhat ke liye aa
aḳhlāq ke jazbe hī se ho kar kabhī majbūr
bīmār-e-mohabbat kī ayādat ke liye aa
mahrūm hai tujh se mirī duniyā-e-haqīqat
tū mere har ik ḳhvāb kī zīnat ke liye aa
taḳh.īl ko mirī par-e-parvāz atā kar
tū mere ḳhayālāt kī vus.at ke liye aa
āñkhoñ meñ liye merī rihā.ī kī bashārat
ik umr ke zindānī-e-furqat ke liye aa
'maġhmūm’ ke qaabū meñ nahīñ phir nigah-o-dil
is kī nigah-o-dil kī tahārat ke liye aa
aa aur har ek lutf-o-inayat ke liye aa
tanhaiyon mein meri rifaqat ke liye aa
le kar nigah-e-naz ka har nashtar-e-sar-tez
dil par mere ek taza jarahat ke liye aa
aKHlaq ke jazbe hi se ho kar kabhi majbur
bimar-e-mohabbat ki ayaadat ke liye aa
mahrum hai tujh se meri duniya-e-haqiqat
tu mere har ek KHwab ki zinat ke liye aa
taKHil ko meri par-e-parwaz ata kar
tu mere KHayalat ki wusat ke liye aa
aankhon mein liye meri rihai ki bashaarat
ek umr ke zindani-e-furqat ke liye aa
'maghmum’ ke qabu mein nahin phir nigah-o-dil
is ki nigah-o-dil ki tahaarat ke liye aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.