aa bhi jao qarib se dekho
aa bhī jaao qarīb se dekho
kaise haarā nasīb se dekho
ye to sab 'ishq ke marāhil haiñ
kuchh na kahnā tabīb se dekho
dikh hī jā.egā maqtal-e-hasrat
tum bhī chashm-e-ġharīb se dekho
vaqt-e-ruḳhsat kā asl nazzāra
jaao jā kar salīb se dekho
rakh ke chehre pe vo nayā chehra
mil gayā phir raqīb se dekho
rāz-e-dil hī hayāt hai 'ġhaurī'
bach ke rahnā musīb se dekho
aa bhi jao qarib se dekho
kaise haara nasib se dekho
ye to sab 'ishq ke marahil hain
kuchh na kahna tabib se dekho
dikh hi jaega maqtal-e-hasrat
tum bhi chashm-e-gharib se dekho
waqt-e-ruKHsat ka asl nazzara
jao ja kar salib se dekho
rakh ke chehre pe wo naya chehra
mil gaya phir raqib se dekho
raaz-e-dil hi hayat hai 'ghauri'
bach ke rahna musib se dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.