aa chal ke basen hamdam-e-dairina kahin aur
aa chal ke baseñ hamdam-e-dairīna kahīñ aur
maiñ DhūñDh nikālūñgā falak aur zamīñ aur
bachtī huī nazroñ se Tapakte haiñ fasāne
ījād takallum kī huī tarz-e-hasīñ aur
gul-hā-e-tabassum pe nazar Dālne vaale
in hoñThoñ meñ pinhāñ haiñ ka.ī ḳhuld-e-barīñ aur
zau-bār-o-daraḳhshāñ hai ye anvār-e-ḳhudī se
sajdoñ kī siyāhī ko hai matlūb jabīñ aur
ik ashk meñ tabdīl huā apnā sarāpā
kuchh maañg le ulfat se mirī jān-e-hazīñ aur
zulfoñ ko zarā aur bhī āñkhoñ pe jhukā do
maiḳhāne se bādal ko karo kuchh to qarīñ aur
'altāf' mujhe jis ne diyā dard-e-mohabbat
us aañkh meñ kyā aisī koī chiiz nahīñ aur
aa chal ke basen hamdam-e-dairina kahin aur
main DhunDh nikalunga falak aur zamin aur
bachti hui nazron se Tapakte hain fasane
ijad takallum ki hui tarz-e-hasin aur
gul-ha-e-tabassum pe nazar Dalne wale
in honThon mein pinhan hain kai KHuld-e-barin aur
zau-bar-o-daraKHshan hai ye anwar-e-KHudi se
sajdon ki siyahi ko hai matlub jabin aur
ek ashk mein tabdil hua apna sarapa
kuchh mang le ulfat se meri jaan-e-hazin aur
zulfon ko zara aur bhi aankhon pe jhuka do
maiKHane se baadal ko karo kuchh to qarin aur
'altaf' mujhe jis ne diya dard-e-mohabbat
us aankh mein kya aisi koi chiz nahin aur
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 97)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.