aa dekh meri aankhon mein ek bar mere yar
aa dekh mirī āñkhoñ meñ ik baar mire yaar
raushan haiñ kisī hijr ke āsār mire yaar
le jā tū rifāqat ke ye pal vasl kā jangal
rahne de yahāñ hijr ke āzār mire yaar
mil jaa.e jo mujh aisā koī mujh ko bahut hai
juz is ke nahīñ kuchh mujhe darkār mire yaar
ai qais ye kyā najd kī vahshat kā asar hai
ab ḳhvāb meñ aatā hai chaman-zār mire yaar
aa dekh meri aankhon mein ek bar mere yar
raushan hain kisi hijr ke aasar mere yar
le ja tu rifaqat ke ye pal wasl ka jangal
rahne de yahan hijr ke aazar mere yar
mil jae jo mujh aisa koi mujh ko bahut hai
juz is ke nahin kuchh mujhe darkar mere yar
ai qais ye kya najd ki wahshat ka asar hai
ab KHwab mein aata hai chaman-zar mere yar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.