aa dil mein tujhe kahin chhupa lun
aa dil meñ tujhe kahīñ chhupā luuñ
logoñ kī nigāh se bachā luuñ
kyuuñ tujh pe gumān-e-be-vafā.ī
kyuuñ apne hī dil kī bad-du'ā luuñ
tujh sā koī dūsrā nahīñ hai
chāhe to tirī qasam uThā luuñ
dīvār-e-umīd Dhe rahī hai
tasvīr tirī kahāñ lagā luuñ
ā.īne kī dhund saaf kar ke
kyuuñ ḳhud ko na hāl-e-dil sunā luuñ
kaTte hī nahīñ pahāḌ se din
'shohrat' maiñ use kahāñ se pā luuñ
aa dil mein tujhe kahin chhupa lun
logon ki nigah se bacha lun
kyun tujh pe guman-e-be-wafai
kyun apne hi dil ki bad-du'a lun
tujh sa koi dusra nahin hai
chahe to teri qasam uTha lun
diwar-e-umid Dhe rahi hai
taswir teri kahan laga lun
aaine ki dhund saf kar ke
kyun KHud ko na haal-e-dil suna lun
kaTte hi nahin pahaD se din
'shohrat' main use kahan se pa lun
- Book : shab-e-aaina (Pg. 161)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.