aa gae kya charagh aankhon ke
aa ga.e kyā charāġh āñkhoñ ke
arsh par haiñ dimāġh āñkhoñ ke
būḌhā hotā huuñ ashk-bārī meñ
kab dhuleñge ye daaġh āñkhoñ ke
zindagī bhar yūñhī mahakte raheñ
merī bāñhoñ meñ baaġh āñkhoñ ke
aaj ke ba.ad agar tujhe dekhūñ
TuuT jaa.eñ ayāġh āñkhoñ ke
ā.inoñ hī meñ vo chhupā hai kahīñ
mo'atabar haiñ surāġh āñkhoñ ke
aa gae kya charagh aankhon ke
arsh par hain dimagh aankhon ke
buDha hota hun ashk-bari mein
kab dhulenge ye dagh aankhon ke
zindagi bhar yunhi mahakte rahen
meri banhon mein bagh aankhon ke
aaj ke baad agar tujhe dekhun
TuT jaen ayagh aankhon ke
aainon hi mein wo chhupa hai kahin
mo'atabar hain suragh aankhon ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.