aa gae mujh mein bhi kuchh rang zamane wale
aa ga.e mujh meñ bhī kuchh rañg zamāne vaale
ab mirī aañkh meñ aañsū nahīñ aane vaale
tum mirā naam jo ik baar zabāñ par le aao
ḳhud mire daam baḌhā deñge ghaTāne vaale
ab ke koī bhī tirī samt nahīñ aa.egā
sab ko har roz na.ī samt batāne vaale
ye jo shohrat ne mirā nām-o-nasab pūchh liyā
ab mujhe sar pe biThā.eñge girāne vaale
is liye sher kahūñ log tujhe pahchāneñ
dard de kar mirā māhaul banāne vaale
sab kahāñ jaan sakeñge mirā dil jāntā hai
un ke naḳhre bhī to haiñ naaz uThāne vaale
jab koī chiiz sambhālī nahīñ jaatī tujh se
tere hāthoñ meñ kabhī ham nahīñ aane vaale
aa gae mujh mein bhi kuchh rang zamane wale
ab meri aankh mein aansu nahin aane wale
tum mera nam jo ek bar zaban par le aao
KHud mere dam baDha denge ghaTane wale
ab ke koi bhi teri samt nahin aaega
sab ko har roz nai samt batane wale
ye jo shohrat ne mera nam-o-nasab puchh liya
ab mujhe sar pe biThaenge girane wale
is liye sher kahun log tujhe pahchanen
dard de kar mera mahaul banane wale
sab kahan jaan sakenge mera dil jaanta hai
un ke naKHre bhi to hain naz uThane wale
jab koi chiz sambhaali nahin jati tujh se
tere hathon mein kabhi hum nahin aane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.