Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aa gae tum to jafaon ka qalaq yaad nahin

R P Shokh

aa gae tum to jafaon ka qalaq yaad nahin

R P Shokh

MORE BYR P Shokh

    aa ga.e tum to jafāoñ qalaq yaad nahīñ

    dil vo bachcha hai jise pahlā sabaq yaad nahīñ

    kyā batā.eñ ki thī kyā sub.h-e-azal vo sūrat

    is kaḌī dhuup meñ aariz shafaq yaad nahīñ

    jaane kis gaam khuleñ us ke tabassum ke rumūz

    aa chuke kitne nairang ufuq yaad haiñ

    umr-e-rafta meñ tirā naam bhī likkhā thā kahīñ

    le gayā kaun uḌā kar vo varaq yaad nahīñ

    jabr-e-duniyā meñ vo college zamāna bhūlā

    the kitāboñ meñ likhe kaun se haq yaad nahīñ

    jang se mas.ale hal karne chale ho logo

    tumheñ tārīḳh ek ek sabaq yaad nahīñ

    aa gae tum to jafaon ka qalaq yaad nahin

    dil wo bachcha hai jise pahla sabaq yaad nahin

    kya bataen ki thi kya subh-e-azal wo surat

    is kaDi dhup mein aariz ki shafaq yaad nahin

    jaane kis gam khulen us ke tabassum ke rumuz

    aa chuke kitne hi nairang ufuq yaad hain

    umr-e-rafta mein tera nam bhi likkha tha kahin

    le gaya kaun uDa kar wo waraq yaad nahin

    jabr-e-duniya mein wo college ka zamana bhula

    the kitabon mein likhe kaun se haq yaad nahin

    jang se masale hal karne chale ho logo

    tumhein tariKH ka ek ek sabaq yaad nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now