aa gaya isar mere halqa-e-ahbab mein
aa gayā īsār mere halqa-e-ahbāb meñ
phir kisī sho'le ne paa.ī hai numū barfāb meñ
kah rahī hai sāhiloñ se Dūbne vaale kī laash
maiñ ne paayā hai sukūñ ik muztarib girdāb meñ
kaañp uTThā huuñ varūd-e-bārish-e-mau.ūda par
ġharq hone ko hai saarā shahr sail-e-āb meñ
mere hāthoñ meñ agar taqdīr-e-sub.h-o-shām ho
titliyāñ tā'bīr kī rakh duuñ kitāb-e-ḳhvāb meñ
ḳhaak ke putle ne āḳhir kar diyā ifshā use
dafan thā jo raaz ab tak sīna-e-mahtāb meñ
sāmne kī chiiz meñ 'āsif' nahīñ koī kashish
tak na yuuñ hairat se apne 'aks ko tālāb meñ
aa gaya isar mere halqa-e-ahbab mein
phir kisi sho'le ne pai hai numu barfab mein
kah rahi hai sahilon se Dubne wale ki lash
main ne paya hai sukun ek muztarib girdab mein
kanp uTTha hun warud-e-barish-e-mauuda par
gharq hone ko hai sara shahr sail-e-ab mein
mere hathon mein agar taqdir-e-subh-o-sham ho
titliyan ta'bir ki rakh dun kitab-e-KHwab mein
KHak ke putle ne aaKHir kar diya ifsha use
dafan tha jo raaz ab tak sina-e-mahtab mein
samne ki chiz mein 'asif' nahin koi kashish
tak na yun hairat se apne 'aks ko talab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.