aa gaya jis ko bhi ehsas ki wahshat paDhna
aa gaya jis ko bhi ehsas ki wahshat paDhna
Ehtisham ul Haq Siddiqui
MORE BYEhtisham ul Haq Siddiqui
aa gayā jis ko bhī ehsās kī vahshat paḌhnā
us ne sīkhā hī nahīñ lafz-e-mohabbat paḌhnā
sāl-hā-sāl guzar jaate haiñ paḌhte paḌhte
itnā āsān kahāñ dars-e-sadāqat paḌhnā
pahle is jism se har ḳhauf ke ḳhaliye ko nikāl
tab kahīñ aa.egā ādāb-e-baġhāvat paḌhnā
merī fursat hī banātī hai ḳhad-o-ḳhāl mire
mujh ko paḌhnā hai to pahle mirī fursat paḌhnā
terī aadat hai har ik ḳhvāb badan par likhnā
jāntā ḳhuub huuñ maiñ bhī tirī aadat paḌhnā
sar hamāre kabhī sajdoñ se na uThte hargiz
ham ko sach-much meñ jo aatā tirī rahmat paḌhnā
aa gaya jis ko bhi ehsas ki wahshat paDhna
us ne sikha hi nahin lafz-e-mohabbat paDhna
sal-ha-sal guzar jate hain paDhte paDhte
itna aasan kahan dars-e-sadaqat paDhna
pahle is jism se har KHauf ke KHaliye ko nikal
tab kahin aaega aadab-e-baghawat paDhna
meri fursat hi banati hai KHad-o-KHal mere
mujh ko paDhna hai to pahle meri fursat paDhna
teri aadat hai har ek KHwab badan par likhna
jaanta KHub hun main bhi teri aadat paDhna
sar hamare kabhi sajdon se na uThte hargiz
hum ko sach-much mein jo aata teri rahmat paDhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.