aa gaya phir bahaar ka mausam
aa gayā phir bahār kā mausam
aap ke intizār kā mausam
koī dhaḌkan judā nahīñ hogī
dil pe hai iḳhtiyār kā mausam
terā chehra shabāb phūloñ kā
terī āñkheñ ḳhumār kā mausam
aao jī bhar ke dostī kar leñ
sirf ik din hai pyaar kā mausam
aap aa.e to aa gayā 'shāriq'
rafta rafta qarār kā mausam
aa gaya phir bahaar ka mausam
aap ke intizar ka mausam
koi dhaDkan juda nahin hogi
dil pe hai iKHtiyar ka mausam
tera chehra shabab phulon ka
teri aankhen KHumar ka mausam
aao ji bhar ke dosti kar len
sirf ek din hai pyar ka mausam
aap aae to aa gaya 'shaariq'
rafta rafta qarar ka mausam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.