aa gaya waqt agar pyar mein ruswai ka
aa gayā vaqt agar pyaar meñ rusvā.ī kā
log dekheñge tamāshā tire saudā.ī kā
ruuh se jism alag karne ke pas-manzar meñ
hai koī haath yaqīnan kisī harjā.ī kā
jaañ ġham-e-vasl kī ik shaam manā.eñ aa jā
shor suntī huuñ sisaktī huī shahnā.ī kā
maiñ tire pyaar ko duniyā se chhupā.ūñ kaise
rañg āñkhoñ se barastā hai shanāsā.ī kā
ḳhair ho aaj mire dil ke bayābānoñ kī
'mānī' karnā nahīñ mātam shab-e-tanhā.ī kā
aa gaya waqt agar pyar mein ruswai ka
log dekhenge tamasha tere saudai ka
ruh se jism alag karne ke pas-manzar mein
hai koi hath yaqinan kisi harjai ka
jaan gham-e-wasl ki ek sham manaen aa ja
shor sunti hun sisakti hui shahnai ka
main tere pyar ko duniya se chhupaun kaise
rang aankhon se barasta hai shanasai ka
KHair ho aaj mere dil ke bayabanon ki
'mani' karna nahin matam shab-e-tanhai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.