aa gaya yaad KHuda aaKHir-kar
aa gayā yaad ḳhudā āḳhir-kār
uTh gayā dast-e-duā āḳhir-kār
ham ki the sarkash-o-maġhrūr bahut
sar jhukānā hī paḌā āḳhir-kār
kaan se jo na sunā thā pahle
aañkh se dekh liyā āḳhir-kār
dil meñ ab koī tamanna na rahī
bujh gayā ye bhī diyā āḳhir-kār
aa.e jis ke bhī qadam dhartī par
ek din mar hī gayā āḳhir-kār
aa gaya yaad KHuda aaKHir-kar
uTh gaya dast-e-dua aaKHir-kar
hum ki the sarkash-o-maghrur bahut
sar jhukana hi paDa aaKHir-kar
kan se jo na suna tha pahle
aankh se dekh liya aaKHir-kar
dil mein ab koi tamanna na rahi
bujh gaya ye bhi diya aaKHir-kar
aae jis ke bhi qadam dharti par
ek din mar hi gaya aaKHir-kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.