aa gaya yaad tera husn pe nazan hona
aa gayā yaad tirā husn pe nāzāñ honā
sāmne baiTh ke ā.īne ke hairāñ honā
lazzat-e-rīsh-e-jigar ke mutamannī ko ik
vaj.h-e-taskīn hai zaḳhmoñ kā namak-dāñ honā
ek āvāra vatan jā.egā vāpas tab hī
dekhnā chāhe agar ḳhuun kā arzāñ honā
ik qasam khaa.ī hai har baat meñ kaj-bahsī kī
vo har ik baat pe hī dast-ba-dāmāñ honā
jāntā kaun nahīñ hairat-e-jalva hai ik
kākul-e-mushkīñ kā shānoñ pe pareshāñ honā
yaad karte haiñ use kah ke sitamgar phir bhī
hāsil-e-zīst hai vābasta-e-dāmāñ honā
‘ālam-e-jāñ-kanī kyoñ kāhish-e-jāñ ho sālik
bhā gayā marg-e-mufājāt kā āsāñ honā
aa gaya yaad tera husn pe nazan hona
samne baiTh ke aaine ke hairan hona
lazzat-e-rish-e-jigar ke mutamanni ko ek
wajh-e-taskin hai zaKHmon ka namak-dan hona
ek aawara watan jaega wapas tab hi
dekhna chahe agar KHun ka arzan hona
ek qasam khai hai har baat mein kaj-bahsi ki
wo har ek baat pe hi dast-ba-daman hona
jaanta kaun nahin hairat-e-jalwa hai ek
kakul-e-mushkin ka shanon pe pareshan hona
yaad karte hain use kah ke sitamgar phir bhi
hasil-e-zist hai wabasta-e-daman hona
‘alam-e-jaan-kani kyon kahish-e-jaan ho salik
bha gaya marg-e-mufajat ka aasan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.