aa hi jati hai kabhi apne sukun-e-dil ki yaad
aa hi jati hai kabhi apne sukun-e-dil ki yaad
Shameem Fatima Jafari
MORE BYShameem Fatima Jafari
aa hī jaatī hai kabhī apne sukūn-e-dil kī yaad
darmiyān-e-qa.ar-e-dariyā jaise ho sāhil kī yaad
dil ko kuchh ulfat sī hai maazī ke sub.h-o-shām se
apnī tanhā.ī kī ho yā aap kī mahfil kī yaad
ruḳh pa zulfeñ haiñ pareshāñ kuchh fasurda se haiñ vo
aa ga.ī hai bhuul kar shāyad kisī bismil kī yaad
miT ga.e ham jis nigāh-e-nāz ke ik vaar se
dil meñ baaqī ab bhī hai us ġhamza-e-qātil kī yaad
aa.e the mahfil meñ terī laakh armānoñ ke saath
jā rahe haiñ dil meñ le kar ik tirī mahfil kī yaad
aa hi jati hai kabhi apne sukun-e-dil ki yaad
darmiyan-e-qar-e-dariya jaise ho sahil ki yaad
dil ko kuchh ulfat si hai mazi ke subh-o-sham se
apni tanhai ki ho ya aap ki mahfil ki yaad
ruKH pa zulfen hain pareshan kuchh fasurda se hain wo
aa gai hai bhul kar shayad kisi bismil ki yaad
miT gae hum jis nigah-e-naz ke ek war se
dil mein baqi ab bhi hai us ghamza-e-qatil ki yaad
aae the mahfil mein teri lakh armanon ke sath
ja rahe hain dil mein le kar ek teri mahfil ki yaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.