aa kar phira na nam ko aankhon mein KHwab-e-shab
aa kar phira na nam ko aankhon mein KHwab-e-shab
Hakeem Aagha Jan Aish
MORE BYHakeem Aagha Jan Aish
aa kar phirā na naam ko āñkhoñ meñ ḳhvāb-e-shab
kyā kyā rahā hai dil ko mire iztirāb-e-shab
vaañ us ne jām-e-mai diye ġhairoñ ko aur yaañ
chhalkā kiyā hai kāsa-e-chashm-e-pur-āb-e-shab
māñgā jo ek bosa to bole ki raah lo
ik umr meñ diyā to diyā ye javāb-e-shab
us ruḳh ko dekh bahr-e-ḳhajālat meñ kuchh na pūchh
sharminda ho ke Duub gayā māhtāb-e-shab
sargarm-e-nāz dekh ke ġhairoñ ke saath use
jal-bhun ke ho gayā dil-e-shaidā kabāb-e-shab
kal sub.h tak thiiñ aap kī āñkheñ jhukī huiiñ
sach kahiye kis ke haath se pī thī sharāb-e-shab
zulf-e-butāñ kī yaad meñ ai 'aish' kyā kahūñ
dil ne mire uThā.e haiñ kyā pech-o-tāb-e-shab
aa kar phira na nam ko aankhon mein KHwab-e-shab
kya kya raha hai dil ko mere iztirab-e-shab
wan us ne jam-e-mai diye ghairon ko aur yan
chhalka kiya hai kasa-e-chashm-e-pur-ab-e-shab
manga jo ek bosa to bole ki rah lo
ek umr mein diya to diya ye jawab-e-shab
us ruKH ko dekh bahr-e-KHajalat mein kuchh na puchh
sharminda ho ke Dub gaya mahtab-e-shab
sargarm-e-naz dekh ke ghairon ke sath use
jal-bhun ke ho gaya dil-e-shaida kabab-e-shab
kal subh tak thin aap ki aankhen jhuki huin
sach kahiye kis ke hath se pi thi sharab-e-shab
zulf-e-butan ki yaad mein ai 'aish' kya kahun
dil ne mere uThae hain kya pech-o-tab-e-shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.