aa karen phir shabab ki baaten
aa kareñ phir shabāb kī bāteñ
us ke raushan naqāb kī bāteñ
kuchh na kahne pe bhī vo jaan gayā
dil-e-ḳhāna-ḳharāb kī bāteñ
mujh ko dīvāna kar ke chhoḌ ga.iiñ
'ishq ke iztirāb kī bāteñ
'ishq tujh ko sikhā.ūñ maiñ vā'iz
tū gunāh-o-savāb kī bāteñ
aa karen phir shabab ki baaten
us ke raushan naqab ki baaten
kuchh na kahne pe bhi wo jaan gaya
dil-e-KHana-KHarab ki baaten
mujh ko diwana kar ke chhoD gain
'ishq ke iztirab ki baaten
'ishq tujh ko sikhaun main wa'iz
tu gunah-o-sawab ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.