aa ke sahil ke qarin jata hun sahil se pare
aa ke sāhil ke qarīñ jaatā huuñ sāhil se pare
aa ke manzil par chalā jaatā huuñ manzil se pare
apnī manzil par pahuñch kar sochne lagtā huuñ maiñ
uf re vo manzar suhānā hai jo manzil se pare
dekh vo lahroñ kā manzar dekh vo tūfāñ kā khel
dekh ai sāhil-nashīñ kyā shai hai sāhil se pare
rāt-din detī hī rahtī hai tire javoñ kā lutf
vo jo ik tasvīr rakkhī hai kahīñ dil se pare
dekh ai shauq-e-nazar nazzāra-hā-e-dil-fareb
parda-hā-e-jur.at-āmoz us ke mahmil se pare
aa ke sahil ke qarin jata hun sahil se pare
aa ke manzil par chala jata hun manzil se pare
apni manzil par pahunch kar sochne lagta hun main
uf re wo manzar suhana hai jo manzil se pare
dekh wo lahron ka manzar dekh wo tufan ka khel
dekh ai sahil-nashin kya shai hai sahil se pare
raat-din deti hi rahti hai tere jawon ka lutf
wo jo ek taswir rakkhi hai kahin dil se pare
dekh ai shauq-e-nazar nazzara-ha-e-dil-fareb
parda-ha-e-jurat-amoz us ke mahmil se pare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.