aa meri chashm-e-pur-KHumar mein aa
aa mirī chashm-e-pur-ḳhumār meñ aa
aa mire sīna-e-figār meñ aa
aa ki tere baġhair kaif nahīñ
merī ġham āfrīñ bahār meñ aa
dil ko tere sadā qarār nahīñ
aa is ujḌe hue dayār meñ aa
ruuh ko tāb-e-intizār nahīñ
mere tarse hue kanār meñ aa
dīda-e-tar pukārte haiñ tujhe
aa kabhī bazm-e-sogvār meñ aa
aaj 'maz.har' tujhe pukārtā hai
aaj aa sahn-e-lāla-zār meñ aa
aa meri chashm-e-pur-KHumar mein aa
aa mere sina-e-figar mein aa
aa ki tere baghair kaif nahin
meri gham aafrin bahaar mein aa
dil ko tere sada qarar nahin
aa is ujDe hue dayar mein aa
ruh ko tab-e-intizar nahin
mere tarse hue kanar mein aa
dida-e-tar pukarte hain tujhe
aa kabhi bazm-e-sogwar mein aa
aaj 'mazhar' tujhe pukarta hai
aaj aa sahn-e-lala-zar mein aa
- Book : Khamyazah (Pg. 79)
- Author : Sayed Mazhar gilani
- Publication : Sayed Suhail wajid Fauq (1978)
- Edition : 1978
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.