Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aa rahe hain raste par aa rahe hain

Yasmeen Moomal

aa rahe hain raste par aa rahe hain

Yasmeen Moomal

MORE BYYasmeen Moomal

    aa rahe haiñ rāste par aa rahe haiñ

    vo jinheñ barsoñ se ham samjhā rahe haiñ

    haiñ bahut uljhe hue ulfat ke raste

    rafta rafta ham inheñ suljhā rahe haiñ

    vo hamīñ par pheñkne lagte haiñ patthar

    aa.ina jin ko bhī ham dikhlā rahe haiñ

    kuchh purānī hasratoñ laash hai ye

    ham jise kāñdhe pe le kar rahe haiñ

    le rahī hai zindagī karvaT pe karvaT

    thapkiyāñ de kar ise bahlā rahe haiñ

    āb-e-ulfat se koī sairāb kar de

    ḳhvāb āñkhoñ ke mire murjhā rahe haiñ

    'yāsmīñ' be-sāḳhta un se ye kah do

    aap bas mere dil ko bhā rahe haiñ

    aa rahe hain raste par aa rahe hain

    wo jinhen barson se hum samjha rahe hain

    hain bahut uljhe hue ulfat ke raste

    rafta rafta hum inhen suljha rahe hain

    wo hamin par phenkne lagte hain patthar

    aaina jin ko bhi hum dikhla rahe hain

    kuchh purani hasraton ki lash hai ye

    hum jise kandhe pe le kar ja rahe hain

    le rahi hai zindagi karwaT pe karwaT

    thapkiyan de kar ise bahla rahe hain

    aab-e-ulfat se koi sairab kar de

    KHwab aankhon ke mere murjha rahe hain

    'yasmin' be-saKHta un se ye kah do

    aap hi bas mere dil ko bha rahe hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now