aa rahe ho ki ja rahe ho tum
aa rahe ho ki jā rahe ho tum
aañkh kī kor pe ruke ho tum
ab to nārāz bhī nahīñ haiñ ham
itnā māyūs kar chuke ho tum
mujh ko kyā haq hai kuchh kahūñ tum se
bas mirī zaat se pare ho tum
kitne bechain haiñ gul o titlī
ishq ke baaġh phir hare ho tum
lutf aane lagā hai ġham meñ hameñ
dekh lo kyā sikhā ga.e ho tum
jism aur ruuh meñ jo hotā hai
vo hī sanjīda fāsle ho tum
ik kahūñ gar burā na maano to
apnā nuqsān kar rahe ho tum
ḳhud kī āvāz mujh pe zaa.e.a hai
kyā bahut paas aa ga.e ho tum
soch kar bas ye baat jaane diyā
kis ke roke kabhī ruke ho tum
tum ko barbād kar raheñ hai ham
ham ko barbād kar rahe ho tum
aa rahe ho ki ja rahe ho tum
aankh ki kor pe ruke ho tum
ab to naraaz bhi nahin hain hum
itna mayus kar chuke ho tum
mujh ko kya haq hai kuchh kahun tum se
bas meri zat se pare ho tum
kitne bechain hain gul o titli
ishq ke bagh phir hare ho tum
lutf aane laga hai gham mein hamein
dekh lo kya sikha gae ho tum
jism aur ruh mein jo hota hai
wo hi sanjida fasle ho tum
ek kahun gar bura na mano to
apna nuqsan kar rahe ho tum
KHud ki aawaz mujh pe zaea hai
kya bahut pas aa gae ho tum
soch kar bas ye baat jaane diya
kis ke roke kabhi ruke ho tum
tum ko barbaad kar rahen hai hum
hum ko barbaad kar rahe ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.