aa rahi thi band kaliyon ke chaTakne ki sada
aa rahī thī band kaliyoñ ke chaTakne kī sadā
maiñ sarāpā gosh ho kar raat bhar suntā rahā
bah gayā zulmāt ke sailāb meñ aivān-e-sañg
dhuup jab niklī tamāzat se samundar jal uThā
jab rag-o-pai meñ sarāyat kar rahā thā zahr-e-habs
rauzan-e-dīvār se mujh par hañsī ThanDī havā
sabz khetoñ se koī sahrā meñ le jaa.e mujhe
maiñ hare sūraj kī tābānī se andhā ho gayā
ban ga.ī zanjīr ḳhushbū-dār miTTī kī kashish
maiñ zamīñ se jab ḳhalāoñ kī taraf jaane lagā
aa rahi thi band kaliyon ke chaTakne ki sada
main sarapa gosh ho kar raat bhar sunta raha
bah gaya zulmat ke sailab mein aiwan-e-sang
dhup jab nikli tamazat se samundar jal uTha
jab rag-o-pai mein sarayat kar raha tha zahr-e-habs
rauzan-e-diwar se mujh par hansi ThanDi hawa
sabz kheton se koi sahra mein le jae mujhe
main hare suraj ki tabani se andha ho gaya
ban gai zanjir KHushbu-dar miTTi ki kashish
main zamin se jab KHalaon ki taraf jaane laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.