aa teri gali mein mar gae hum
aa terī galī meñ mar ga.e ham
manzūr jo thā so kar ga.e ham
tujh bin gulshan meñ gar ga.e ham
juuñ shabnam chashm-tar ga.e ham
paate nahīñ aap ko kahīñ yaañ
hairān haiñ kis ke ghar ga.e ham
us ā.īna-rū ke ho muqābil
ma.alūm nahīñ kidhar ga.e ham
go bazm meñ ham se vo na bolā
bāteñ āñkhoñ meñ kar ga.e ham
juuñ sham.a us anjuman se 'bedār'
le dāġh-e-dil-o-jigar ga.e ham
aa teri gali mein mar gae hum
manzur jo tha so kar gae hum
tujh bin gulshan mein gar gae hum
jun shabnam chashm-tar gae hum
pate nahin aap ko kahin yan
hairan hain kis ke ghar gae hum
us aaina-ru ke ho muqabil
malum nahin kidhar gae hum
go bazm mein hum se wo na bola
baaten aankhon mein kar gae hum
jun shama us anjuman se 'bedar'
le dagh-e-dil-o-jigar gae hum
- Deewan-e-Bedar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.